Showing posts with label Inspirational. Show all posts
Showing posts with label Inspirational. Show all posts
Apne Seene me Dhadakta Mjhko paoge tum.....!! Love Inspirational Shayari
2011-06-25
Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum
Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum
Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum
Ishq Fanaa Ka Naam hai......!!
2011-06-11
Ye bhi Meri Ek Dua hai Khuda Se....!!
2011-06-04
Zindagi Do Din Ki......!!
2011-06-03
Ye Zindagi Do Din Ki Hai ,
Aik Din Tere Haq Main, Or Aik Din Tere Khilaf,
Jo DIn Tere Haq Main Ho Us Din Gharoor Mat Karna,OR
Jo Din Tere Khilaf Ho Us Din Sabar Karna ......................!!
For more SMS shayari Click Here
Aankhon me Manzilen thi...!! Inspirational Shayari
2011-05-28
Aankhon Mein Manzilein Thi…
Gire Aur Sambhalte Rahe…
Aandhiyon Mein Kya Dum Tha…
Chiraag Hawa Mein Bhi Jalte Rahe…
~
Taalim Nahi Di Jaati Parindo Ko Udaano Ki…
Woh To Khud Hi Samajh Jaate Hain Ucchai Aasmano Ki…
~
Mushqilo Mein Bhaag Jaana Asaan Hota Hai…
Har Pehlu Zindigi Ka Imtihaan Hota Hai…
Darne Wale Ko Kuch Nahi Milta Zindigi Mein…
Aur Ladne Walo Ke Kadmo Mein Jahaan Hota Hai…

Kabhi Zindagi Lage Bhaari......!!
2011-05-15
Kyon Muqaddar ko Sochta hai bande.....!!
2011-05-14
Humhe Manzoor Nahi.....!!
2011-05-13
Itihaas badal Jaate hain..........!!
2011-05-11
Kadam Kadam par girey Magar.....!!
2011-05-10
Kya Khabar thi woh Mujhse itna Khafaa hojayega.....!!
2011-05-09
ar jhukaaoge to patthar devataa ho jaayegaa
itanaa mat chaaho use wo be-wafaa ho jaayegaa
ham bhii dariyaa hai hame apanaa hunar maaluum hai
jis taraf bhii chal padenge raastaa ho jaayegaa
kitanii sachchaai se mujhase zindagii ne kah diyaa
tuu nahi meraa to koi dusaraa ho jaayegaa
main Khudaa kaa naam le kar pii rahaa hun dosto
zahar bhii is me agar hogaa davaa ho jaayegaa
ruuTh jaanaa to mohabbat kii alaamat hai magar
kyaa Khabar thii mujh se wo itanaa Khafaa ho jaayegaa

Abhi tou Poora Aasman Baaqi hai....!!
2011-05-08
Humhe kya mitayegi gardish Zamane ki.....!!
2011-05-07
Hokar Maayus Na yun....!!
Koi Shararat Karte....!!
2010-07-25
♥~Paas Hote Tou Koi Shararat Karte~♥
♥~Tjh LeKar Baahon Mein Mohabbat Karte~♥
♥~Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumaar~♥
♥~Apni Khoi Hui Neendon ki Shikaayat Karte~♥
♥~Teri Aankhon Mein Apna Aks Dhoondte~♥
♥~Khud Se Bhi Zyada Teri Chahat Karte~♥
♥~Ek Dil Hi Tha, Woh Bhi Us K Paas Tha~♥
♥~Raat Bhar Jaag Ker Kisi Ki Hifazat Karte~♥
♥~Mere Mazhab Main Shirk Haram hai "Sehar"~♥
♥~Warna Qasam Mohabbat Ki Teri Ibadat Karte~♥
!!

Subscribe to:
Posts (Atom)