Tum Bin Agar Hamara Guzara Hota....!!

2011-06-01

Top Blogs


Tum Bin Agar Hamara Guzara Hota ......!
To Aaj Yun Na Tum Ko Pukara Hota .....!
Hamare Dil Main To Sirf Tum Hi Tum Ho ..!
Kash Tumhare Dil Main Bhi Khayal Hamara Hota .......!!

Wasta Husn Se ya Shidat-e-Jazbat Se kia....??

Top Blogs

Wasta Husn Se Ya Shidat-e-Jazbat Se Kia ......?
Ishq Ko Tere Qabeelay Ya Meri Zaat Se Kia .....?
Meri Masroof Tabiat Bhi Kahan Rok Saki .........!
Wo To Yaad Aata Hai Usko Mere Din Raat Se Kia ..?
Pyass Dekhun Ya Karun Fikar K Ghar Kacha Hai ....!
Soch Main Hun K Mera Rishta Hai Barsat Se Kia ....?
Aaj Usay Fikar K Kia Log Kahain Gay Sagar .....!
Kal Jo Kehta Tha Mujhe Rasam-o-Rivayat Se Kia ........!!!

Ussey Kehna K palkon par.....!! Freindship Shayari

Top Blogs

Ussey Kehna K Palkon par Na Taa'nke Khwab Ki Jhaalar...
Samandar K Kinaare Ghar Banakar Kch Nhi Milta...,

Ye Acha hai k Aapas k barham Na Toot Paaye..,
Kbhi B doston ko Aazma kar kch Nhi Milta




For More Freindship Shayaris Click Here 

Zara Si.....!! Romantic Shayari

Top Blogs
Zara Si Chot Lagay To Wo Aansoo Baha Deti Hai
Apni Sakoon Bhari Goad Main Humko Sula Deti Hai
Kartay Hain Khafa Hum Jab To Chutki Main Bhula Deti Hai
Hoti Hai Khafa Hum Se To Dunya Ko Bhi Bhula Deti Hai
Mat Gustakhi Karna Ay Logon Us MAA Se
Kyun K Jab Wo Chor Jati Hai To Ghar Ko Qabarustan Bana Deti Hai

Kuch Yaad Rahi .. Kuch Bhool gaye...!!

Top Blogs
rudad-e-muhabbat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
do din ki masrrat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye

jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein
wo hosh k sath kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye

ehsas k maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilen
alam ki shiddat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye

ab apni haqiqat bhi "Sagar" berbt kahani lagti hai
dunya ki haqiqat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye