K Dil Ro de tou Laut Aana...!!

2011-07-11

Top Blogs

Usne kaha Tha Sono...!

Ehad Nibhane Ki Khatir Mat Aana..
Ehad Nibhane Waale Aksar
Majburi Ki Thakan Se Lauta Kerte Hai..
Tum Jao
Samandar Samandar Apni Pyas Bhujao
Jin Aankhon Main Utro
Jis DiL Main Dubo
Meri Tanhai Tumhain Awaz Na Degi
Magar Jab
Meri Khuwaish Aur Chahat Ki Lehr
Itni Oonchi Aur Tez Ho jaye
K Dil Ro de
Tou
Laut Aana.

Isay agar Ishq Kehte hain....tou? !!

2011-07-10

Top Blogs

Umar bhar sisaktay rehna buss ek shakhs ki khatir..
Isay agar ishq kehtay to phir Wallah meri touba...

Jeena barhi Mushkil se Seekha hai...!!

2011-07-09

Top Blogs

Main Kaise chor don Jeena bari mushkil se sekha hai,
Piyala zeher ka peena bari mushkil se seekha hai,
Nahi ye ho nahi sakta main nafrat bhi karon tumse,
k maine pyar hi karna bari mushkil se seekha hai,
bara naazuk hai dil mera, is ka aitbar zara kar lu,
Tumhare dard ko sehna bari mushkil se seekha hai,
Main sab k saamne keh don mujhe tumse muhabat hai,
tumhare saaamne kehna bari mushkil se seekha hai…!!!!

Maana k Humein pyaar ka Izhaar karna nhi aata...!!

2011-07-08

Top Blogs

Chalo Mana k Humein Piyar ka Izhar karna Nahi Aata.!!!!

Jazbaat na Samjh Sako, Itne Nadaan to Tum b Nahi....