Karoge Yaad ek din tum Mohabbat k Zamane ko....!!
2011-07-20
Karo gy yaad tum ik din mhbt k zamanay ko,,
Chalay jaen gay jis din hum kabhe wapas na aanay ko,,
Kise mehfil mein cheray ga hamara zikr jub koe,,
Chalay jao gay tum tanhae mein aansoo bahanay ko,,
Ghataen parbaton pe ghuk k jb ulfat nibhaen ge,,
Taras jao gay sawan mein hamaray paas aanay ko,,
Nazar k samnay jis ghare guzray ga kasid to,,
Hamaray khat puranay dhoondo gay dil se laganay ko,,
KARO GAY yaad tum ik din mhbt k zamanay ko.
Yun ho k aur Koi Hawa Mile Mujhe....!!
2011-07-19
sharmindagi hy hum ko buhat hum milay tumhe,n
tum sar ba,sar khushi thy magar ghum milay tumhe,n
main apnay aap main na mila is ka ghum nahi.
ghum to ye hy k tum bhe buhat kum milay hume,n
hy jo hamara ek hissab us hissab say
aati hy hum ko sharam k pyhum milay tumhe,n
tum ko jahaan e shouq o tamana main kya mila
hum bhe milay to darhum o barhum milay tumhe,n
ab apnay tour he main nahi tum so kaash k
khud main khud apna tour koi dum milay hume,n
daita ho,n tum ko khashgi e maxga,n ke main dua.
matlab ye hy k daman e pur num milay tumhe,n
main un main aaj tak kabhi paya nahi gya
jana,n jo meray shouq k aalam milay tumhe,n
tum nay hamary dil main buhat din safar kya.
sharminda hain k us main buhat khum milay tumhe,n
yun ho k aur koi hawa milay mujhy.
ho yun k aur he koi aadam milay tumhe,n
Baat Apno Ki Jab Sahi Na Gayi....!!
2011-07-18
Khalish-E-Hijr Daayimi Na Gayi
Tere Rukh Se Yeh Berukhi Na Gayi
Poochte Hain Ki Kya Hua Dil Ko
Husn Waalon Ki Saadgi Na Gayi
Sar Se Sauda Gaya Muhabbat Ka
Dil Se Par Uski Bekali Na Gayi
Aur Sabki Hiqayatein Keh Di
Baat Apni Kabhi Kahi Na Gayi
Ham Bhi Ghar Se ‘Munir’ Tab Niklein
Baat Apno Ki Jab Sahi Na Gayi
Shaam hone se pehle Laut aana...!! Mohabbat Shayari
2011-07-17
Subscribe to:
Posts (Atom)
