Kyon Muqaddar ko Sochta hai bande.....!!

2011-05-14

Top Blogs
kyon mukkadar ko sochta hai bande ,
apni manzil ko dekh
buland hai gar.. hosla tera to samne
roshni ko dekh.........

Chali Jaati hai Aaye din......!!

Top Blogs
Chali Jaati Hai Aaye Din Wo Beauty-Parlour Mein Yun,Ghalib
K Maqsad Hai Jawan Lagna Misaal-E-Hoor Ho Jana.
Magar Ye Baat Kisi Begum Ki Samajh Mein Kyun Nahi Aati?
K Mumkin Hi Nahi Kishmish Ka Phir Se Angoor Ho Jana!

Meri Palkon ko tou bass.....!!

2011-05-13

Top Blogs

Pachta raha hun Aapse Rishta Todkar.........!!

Top Blogs
pachta raha hoon aapse rishte ko todkar,
barbad ho gaya hoon main daaman ko chorkar.
rahne de apne kadmon mein is badnaseeb ko,
jaoonga kaha ab teri chaukhat ko chirkar.
hindu ka ghar alag to musalman ka alag,
milte hain maykade mein to matbhed chorkar.
barse hain moti meri aankh se raatbhar,
chaho to dekh lo mera daman nichrkar.
panghat bhi wo nahi na wo aamon ki chaw hai,
shahron mein kya mila mujhe ganw chorkar.
koshish karke bhi tera bachna muhal hai,
le legi jaan maut to panja maror kar.
ajeet chahte ho sawarne ki gar sanad,
khud ko sawanriye jara aaina chorkar.

Aitbaar Hojaata hai........!!

Top Blogs
Kisi na kisi pe, kisi ko, Aetbaar ho jaata hai,
Ajnabi koi shaks, aksar yaar ho jaata hai.
Khoobiyo se hi nahi hoti mohhabat,
Khamiyo se bhi aksar pyaar ho jaata hai.
palko ki nami me chupa kar sapno ko..
humne unhe jaane ki izazat de di..
hum toot kar bikhar gaye tukdo me..
unhe muskarane ki izazat de di….