Check out Mohsin's photos on Facebook.

2013-12-04

Top Blogs
facebook
Check out Mohsin's photos on Facebook.
If you sign up for Facebook, you'll be able to stay connected with friends by seeing their photos and videos, staying up to date with their latest status updates, exchanging messages and more.
Join Mohsin on Facebook
This message was sent to muqtharmohammad.shayari@blogger.com. If you don't want to receive these emails from Facebook in the future or have your email address used for friend suggestions, please unsubscribe.
Facebook, Inc., Attention: Department 415, PO Box 10005, Palo Alto, CA 94303

Zindagi Be'Qaraar Bhi Tu Nahi....!!

2011-08-03

Top Blogs

Zindegi Be'Qaraar Bhi Tu Nahi
Ab Tera Intezaar Bhi Tu Nahi,

Tarq-e-Ehad-e-Waffa Azaab Sahi
Dil Mager Sharumsaar Bhi Tu Nahi,

Kis Pay Afshaa Hoon Wehshatain Apni
Pairhan Taar Taar Bhi Tu Nahi,

Sir'Farazi Pay Naaz Kon Karay
Surkhroo Shaakh-e-Daar Bhi Tu Nahi,

Kaffla Kis Taruf Gaya Hoo Ga
Reh'guzzer Mai Ghbaar Bhi Tu Nahi,

Rahattain Kis Hisaab Mai Likheye
Ranjishoon Ka Shumaar Bhi Tu Nahi,

Jantay Hain Wo Be'Waffa Hai Mager
Dil Pay Ab Ikhtiyaar Bhi Tu Nahi,

Rang-e-Aks-e-Khizaan Bhi Kya Lena
Sir Pay Qarz-e-Bahaar Bhi Tu Nahi,

Dil Se Roudaad-e-Gham Kahoon Kaisay
Dil Mera Raaz'daar Bhi Tu Nahi.,.

Usay b Apne Kiye ka Malaal Hona hai...!!

Top Blogs

Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay....!!!!

Kuch Nahi......!! Best SMS shayari

Top Blogs

Abi to hm aap k liye kuch nhi,
Ye din guzar jayen ge,
Ye mosam Badl jayen ge,
Wqt to guzar he jata hai,
Aap ka b hamara B,
Lekin,

1 din kisi lamhay aap ko hamari yaad aaye gi,
To Aap Be-ikhtyar muskra do gy,

Log pochain gay kya hua
Aur
Aap kaho gy

(Kuch Nahi) 

ab us ki yaad raat din nahin, magar "kabhi kabhi"....!!!! Fantastic Shayari

2011-08-02

Top Blogs

Bhale DinoN ki baat hai

Bhali see aik shakl thi

Naa yeh ky husn-e-taam ho

Naa dekhne mein 'Aam see



Naa yeh ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy

magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage



koi bhi rut ho us ki chchab

fiza ka rang-o-roop thi

woh garmiyon ki chchaaon thi

woh sardiyon ki Dhoop thi



na muddatoN judaa rahe

na saath subh-o-shaam ho

na rishta-e-wafa pe zid

na ye ki izn-e-'Aam ho



na aisi Khush libasiyaan

ki saadgi gila kare

na itni be takallufi

ki aaina haya kare



na ikhtilaat mein woh ram

ki bad-mazah hon Khwahishen

na is qadar supurdigi

ki zach karen nawazishen



na aashiqi junoon ki

ki zindagi 'azaab ho

na is qadar kaThor pan

ki dosti Kharaab ho



kabhi to baat bhi Khafi

kabhi sukoot bhi suKhan

kabhi to kasht-e-z'afraan

kabhi udaasiyoN ka ban



suna hai aik 'umr hai

mu'Amilaat-e-dil ki bhi

visaal-e-jaanfiza to kya

firaaq-e-jaangusal ki bhi



so aik roz kya hua

wafa pe bahas cherr gayi

main ishq ko amar kahoon

woh meri zid se chidh gayi



main ishq ka aseer tha

woh ishq ko qafas kahe

ki umr bhar ke saath ko

woh bad-taraz-hawas kahe



"shajar hajr nahin ki ham

hamesh pa ba gul rahen

na Dhor hain ki rassiyaan

gale main mustaqil rahain



mohabbatoN ki vus'Atain

hamare dst-o-pa mein hain

bas aik dar se nisbatein

sagaan-e-bawafa mein hain



main koi painting nahi

ki aik frame meiN rahoon

wahi jo man ka meet ho

usi ke praim meiN rahoon



tumhari soch jo bhi ho

main is mizaaj ki nahin

mujhe wafa se bair hai

ye baat aaj ki nahin"



na us ko mujh pe maan tha

na mujh ko us pe za'Am hi

jo 'ahad hi koi na hoi

to kya gham-e-shakistagi



so apna apna raasta

hansi Khushi badal diya

woh apni raah chal padi

main apni raah chal diya



bhali si aik shakl thi

bhali si us ki doosti

ab us ki yaad raat din

nahin, magar "kabhi kabhi"....!!!!