Huzoor Ahista Ahista.....Janab Ahista Ahista...!!

2011-08-01

Top Blogs

sarakta jaye hai rukh se naqaab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista,

javaan hone lage jab woh to ham se kar liya parda
haya yak lakht aayi aur shabaab ahista ahista,

shab-e-furkat ka jaaga hoon farishton ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab ahista ahista,

savaal-e-vasl par un ko uduu kaa Khauf hai itna
dabe honthon se dete hain jawaab ahista ahista,

hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar ahista ahista,

woh bedardi se sar kaate Ameer aur main kahoon un se
huzoor ahista-ahista janab ahista ahista.,.